Aaj aap se phir mulaqat huyi , dil mein phir kashmakas si hui.
Kehene ko toh bahut kuch tha , kehene ko bahut kuch keh bhi diya
Bus nigaah milane se darti thee , ki zubaan kuch aur nigaah kuch aur na bayaan karr de …
Aisa kyoun hota hai ki har mulaqat ke baad , phir ek mulaqat zarori lagta hai ,
Aapke saath beeta har pal , hawa ke jhoke sa lagta hai
Aapki bahon mein simtne ka jee karta hai ,
Phir khayal, hayaa ke aachal ka girne ka,behekte aarmano ka hadd se guzarne ka ..
Apne jazbaton pe kaboo karna hoga , aapka intezaar na jaane kab tak karna hoga …
-------------------
Aapki saanson ki mehek meri saanson mein is kadar samaa gayi hai ,
Ke aapke khayaalo se meri tanhaan raatein mehek jaati hai ..
-------------------
Aap se mulaqaat ki tamnah kahi tamnah na bann kar reh jaye.
Sabr ki intaah kahi , nafrat ki vajah na bann jaye .
agar koi naata nahi toh usse bayan toh karo …
kuch na keh kar bewajah umeed bhi na do.
Meri kamzoori ka andaaza mujhe hai -
Kabhi toh bhoole se yaad karr liya karo , kuch pal he sahi , kabhi toh kuch pal humme bhi udhaar mein de diya karo …
Iss tarah har pal meri kamzoori ka ehsaas muhje dilana zaroori toh na samjhoo .. kuch na keh kar bewajah umeed bhi na do. ..
-------------------------
Kissi ko bholaney ki koshish mein apna ye haal hua .
Ki har tarf unka naam , unki nishaani dikh si jaati hai.
Iss naadaan dil ko kabhi phikarr toh kabhi tasali ho jaati hai,
Ki kahin kuch unpe guzar na jaye,ki shaayad sab kuch phele jaisa he reh gaya ho.
ki zubaan toh kuch na bole , nigaahe sab kuch keh jaaye ,
Is bezubaan dil ki tez dhadkane sab kuch keh jaye
Kya shukr karoon Khuda ka , in dooriyon ke liye , ki ab naa nigaah milti hai, naa zubaan phisalti hai , aur na hi dhankhaney sunayi padti hai ...
bus ek umeed ki shaayad kabhi unko bhi mera khaayal aata hoga, dil ki dooriyon se kabhi unka bhi Mann bhar jaata hoga ..

No comments:
Post a Comment